Hazrat Shaikh Saadi top 20 Quotes in Urdu
There is top twenty quotations of Hazrat Shaikh Saadi qwaal in Urdu also designed in Image (jpg) format. Read in Roman Urdu and increase your knowledge.
Zarori nahi k khoobsourat, khoob serat bhi ho. |
Jub tum apnay se taqatwar se zor aazmai krw gay tu ye tumharay dushman k liye amdaad ho gi. |
Jo Shakhas urton kay mashwaron par amal karta hai wo apni tabahi ka rastaa khud kholta hai. |
Fitna pardazon par sakhawat, zulam kay mutradif hai. |
Khoon khawar shair par raham khana, bakrion par zulam kay mutradif hai. |
Baywekoof dhol ki manand balund awaaz magar ander se khaali hota ha. |
Elam hasil karnay ka liye khud ko giranay se ezat afzai hasil hoti hai. |
Danao'n ka koul hai, k haq shanaas kutaa na shukar gazaar se behtar hota hai. |
Allah k doston ki endheri raat bhi chamkati hai. |
Jo kamzoron par raham nahi karta, taqatwaron kay zulam ka zaroor shakaar hota hai. |
Phoolon kay guldasta se meri gulstan ka aik wariq behtar hai. Phool tu jalid hi murjhaa jaye ga magir ye gulstan tu humisha tarotaza rahay ga. |
Kamzor dushman tumhara dosat nahi bun sakta balkay wo dosti ki aarh main tumhara barha dushman banna chahta hai. |
Doston kw aapis ki ahim guftgu main ahtayat bartna chaahiye mubaada koi dushman oi suntaa ho. |
Jo shakhis dushmano'n par ihsaan kartaa hai wo goya dosto'n ki dil aazari karta hai. |
Aye aqal mand ! Asay dosat se bach jo taray makhalfeen kay saath taaliq rakhay. |
Na tu is qadar sakhati kar k log tujh se tang aa jain aur na is qadar narmi k k teri narmi se faida uthaa kar tujhay naqsaan punchaanay ki sochnay lagain. |
Sakhti aur narmi barabar hona chahyain. Jis tarah jarah cheera bhi deta hai aur marhim bhi lagata hai. |
Khabardaar ! ksi khoshamdi say tareef ka mutmani na ho kion k wo tujh se nafaa ka umeed war hai.. |
Har shakhis ko apni aqal sub se aalaa aur apna beta sub se payera nazar aata hai. |
Jo shakhas taqat k dino main ksi se narmi nahi karta natawani kay dino main sakhti is ka maqadir bun jati hai. |
Hazrat Shaikh Saadi top 20 Quotes in Urdu - Shaikh Saadi designed quotes image
Reviewed by Asif
on
August 23, 2017
Rating:
No comments: